Hello Dosto Aaj Jis Topic Ke baare Me Hum Baat Karne Waale Hai Vo Hai Blogging Se Paise Kaise Kamaye jaa Sakte hai. Agar Aap Blogger Hai Ya Fir Blogging Shuru Karne Ki soch rahe hain To Me Aapko Ye bataa du Ki Paise Kamaane Ke Liye Blogging Ek Bhut Hi accha , Safe ,True Platform Hai Bahut Hi acche Paise Kamaane ka..
Agar Aap Blogging Karte hai Ya fir Karna Chahte hai To aap Bhi zarur Chahenge Ku na Isse Kuch Paise Bhi Kamaye jaye Har Koi Chahega Agar Vo mehnat Kar Raha Hai Apna Time De Raha Hai to Usay Kuch Pese Bhi Mile. Aaj Ke Time Me Har Insaan Paise Kamaana chahta hai Aaj ke Time Me Bina Paise Ke Kya Hota hai Agar Aap Bhi Aisa Soch rahe ho To Isme Koi Buri Baat Nahi Hai.
To Chaliy Topic Ki Taraf Chalte hai Or jaante hai Ki Blogging Se Paise Kaise Kamaye.
Blogging Sikhne ke liye Yha per Click karein. Learn Blogging in Hindi A Step by Step Detailed Guide and Video Tutorial in hindi
Learn Blogging in Hindi - A Step by Step Guide
Blogging se Paise Kaise Kamaye - Top Ways
Blogging Se Paise Kamane ke Bahut Saare Raste Hai. Jinme se Kuch Famous Me Aapko Yahan Bataa Rahaa Hu or Unki Koi Bhi Limit Nahi Hai Aap Jitni Mehnat Karoge Utni Zyada Aap Earning Kar Paoge.
Agar Aap Ek Acche Blogger Ho Log Aapke Blog Par Aate Hai Aapki Post Ko Padhte Hai Unhe Pasand Karte Hai. To Aap Kaafi Acchi Earning Kar Sakte Hai.
Abhi Me Aapko Vh Tarike Bataa Rahan Hun Jinke Jariye Aap Blogging Se Paise Kamaa Sakte Ho uske Baad Mein Aapko Yh Bhi Bataunga Aap Blogging Se Paise Kaise Kamaye.
1. Adsense
Sabse Pehla Tarika Hai Aap Adsense Ke Jariye Kaafi Accha Paisa Kamaa Sakte Hai. Adsense Ek Google Ka Program Hai Jiske Jariye Aap Apne Blogs Par Ads Laga Sakte Hai. Aapne Bahut Website Par Kuch Ads Dekhe Honge Vo Adsense Ke Jariye Aate Hai. Un Ads Ko Apne Blog Ya Website Par Lagane ke Aapko Paise Milte hai.
Google Adsense Kya? hai Or Google Adsense Se Paise Kaise Kamaye
2. Affiliate Marketing
Aap Affiliate Marketing Ke Jariye Bhi Bahut Hi Accha Paisa Kamaa Sakte Hai. Hazaron Aisee Website Hai. Jo Affiliate Program Provide Karti Hai Aap Un Par Registered Kar Ke Affiliate Marketing Bhi Kar Sakte Hai.
Affiliate Marketing Ke Baare Me Detail Me Janne Ke Liye Aap Upar Affiliate Marketing Ke Page Par Ja Sakte Hai.
3. Online Course
Aapne Dekha Hoga Bahut Saare Log Online Bahut Tarah Ke Jese - Digital Marketing , Programming , Web Development Etc... courses Bana kar Online Hi Unhe Sell Karte Hai Or Hazaron log Vo Courses Karte Bhi Hai.
Agar Aapme Kabiliyat Hai. Talent Hai. Kisi Bhi Chiz ki Acchi Knowledge Hai. Accha Gyaan Hai. Aap Logon Ko Kuch Sikha Sakte Hai. To Aap Online Isi Tarah Ke Courses Banaa Kar Unhe Online Hi Sell Kar Sakte Hai.
4. Sponsorship
5. Premium Membership
Agar Aapke Blog Popular Hai Kaafi Log Aapke Blog Ko Padhte Hai Apke Blog Ko Regular Padhna Pasand Karte Hai. To Aap Unhe Monthly Ya Yearly Ya Jo Aap Chaho Ek Membership De Sakte Hai.
Blogging se Paise Kaise Kamaye
Dosto Abhi Tak To Humne Un Tarikon Ke Baare mein Jana Jinke Jariye Hum Blogging Se Paise Kamaa Sakte Hain. lekin Ab Sawal Ye Uthta hai Aakhir Hum Blogging Se Paise Kaise Kamaye. to chaliye samjhte hain Blogging Se Paise Kaise Kamaye , Blogging Se Paise Kamane ke liye humein Kya - kya karna hoga.
Start A Blog
Dosto Blogging Se Paise Kamane Ke Liye Sabse Pehla or Jaruri Jo Step Hai Vo Yahi Hai. Aapko Apna Blog Shuru Karna Hoga Apna ek Blog Banana hoga Use Customised Karna Mobile Friendly yani Ki Responsive Banana Taaki Apka Blog Mobile Par Thik Tarah Se Kaam Kare Computer Par Thik Tarah Se Kaam Kare.
Agar Aap Janna Chahte ho Blog Kaise Karna Hai Kya - Kya Aapko Uske Liye Karna Hoga To Me Aapko Nichr Link De Deta Hun Aap Vhan se Detail Me Information Le Sakte Ho.
How to Start a Blog
Design Your Blog
Dosto Blog Banane Ke Baad Aapko Apne Blog Ko Design Karna Hai. Jisse Aapka Blog dekhne Me Accha Lage. Sabhi Platform Par Thik Tarah Se Kaam Kare. Jiske Liye Aapko Bhut Saari Tamplates Yani Ki Themes Di Jaati Hai. Jisse Aap Apne Blog Ko Acche Se Accha Banaa Sakte Ho.
Write Your Blog Pots
Blog Banane Ke Baad Blog Ko Acchi Tarah Se Design Karne Ke Baad Jo Sabse Zaruri Kaam Ata hai vo hai Aapko Blog Pots Likhna Aapko Acche Se Acchi Blog Posts Or Sahi Jaankari Deni Hai Ye Nahi Ki Paise Ke Chakkar Me Aap Galat Jaankari Dene Lag Jao Aapko Agar Blogging Ki Duniya Kya Kahin Par Bhi Agar Aage Jana Hai to Ye Quality Aapke Andar Honi Bahut Hi Jaruri Hai.
Marketing Your Blog
Uske Baad Aapko Apne Blog Ki Marketing Karni Hai Ya Fir Jo Bhi Aap kar Sako Aapko Vo Karna hai Jisee Aapke Blog Lar Traffic Aa Sake Kyoki Jab Tak Aapke Blog Lar Koi Ayega Hi Nahi Tab Tak aap Blogging Se Paise Kaise Kamaa Paoge. Blogging Se Paise Kamane Ke Liye Sabse Jaruri Hai Traffic , Audience Jo Ki Aapko Apne Blog Par Laani Hai.
Making Money
Dosto Jab Aapke Blog Par Traffic Aane Lag Jaye To Aapke Paas Blogging Se Paise Kamane Ke Bahut Raste Hain Jinme Se Famous Me Aapko Bataa Bhi Chuka Hun. Aapke Blog Par Traffic Aane Ke Baad Aap Apne Blog Ko Adsense Se Connect Kar Sakte Ho Affiliate Marketing Kar Sakte Ho Or Bhut kuch Kar Ke Paise Kamaa Sakte Ho.
Agar aapka koi question ya koi problem ho ya koi jaankari chahiy ho to aap hme comments! ke jariye bta sakte ho puch sakte ho.
Comments
Post a Comment